Assalamualaikum my name is kiran shehzadi. Masia institute mai mainay 6 months lagai hain, jo kay mairay liye kafi effective and bohot ziada es mai learning hui hai related to Web Development. WEB Development in PHP and Laravel, so is institute kay baray may mai kuch batin kehna chahti hun, 6 month mai mainay Frontend and backend dono kay baray mai sekha hai or dono frontend and backend mai mujhy kafi ziada learning hui, jo kay frontend course kiya jata hai us mai complete HTML, CS, Jawascript, JQuery and react is say related hamiin complete sekhaya jata hai, isi tarhan agr ham PHP Backend kar rahay hain jo kay PHP and Laravel mai karwai ja rahi hai, jo kay mujhay pehlay PHP and Laravel kay baray mai itna knowledge nahi tha, mujhay sirf is kay baray mai overview pata tha, but after this course mujhy PHP and laravel kay baray mai bohot ziada sekha hai
Jab ham course kar laitay hain tw test diya jata hai jo kay through project kay liya jata hai kay ham wo project kartay hain, or us project kay karnay mai teacher ki taraf say hamin bohot ziada support milti hai, Yeh nahi hota jaisay normal institutes mai hota hai kay hmin institute ki taraf say project diya jata hai or wo project daity hain kay ap jahan say bhi internet say idhr udhr jahan say bhi dekh kay kar lain.
Yahan pay yeh hota hai kay ek student ko proper time diya jata hai during course and after course, After course jab ham project kar rahy hotay hain tab
About Masia institute mujhy jo is institute mai plus point laga wo yeh hai ky different students ki learning capability hoti hai wo different hoti hai kuch jaldi pick kar laitay hain and kuch thora slow pick kartay hain, tw yahan par hmin multiple retake ki offer hoti hai jo kay free of cost hoti hai yeh point mujhy ziada attract kiya kyun kay har insan ka ek personal analysis hota hai jaisay mai apnay baray mai kahun tw meri thori slow hai, jis say yeh hota hai kay mai dubara retake laina chahun ya mairay jaisy bohot say students hain jo dubara retake laina chahtay hain tw wo hamin free diya jata hai.
Jo ham course kar rahay hotay hain us mai ham kisi bhi multiples module ko lay kar us say related ham again course kar saktay hain.
That's why i recommended this institute to all of the students ap yahan par ayen, visit kren, teacher say milin. ap khud personally pehlay us sya related information lain ap yahan institute mai aa kar visit kar saktay hain teacher say bhi mil saktay hain and khud ap classes say related information lay saktay hain.
I'm the student of Masia institute and i 100% recommended this institute to all of you, You should come here visit here and if you want to learn different courses related to IT say related hai softwares say related hai agr ap yeh saray courses karna chahtay hain. Specially WEB development and Graphics designing.
Masia institute mai mainay WEB Development ka course kiya hai jo kay mairy teacher Sir Ishtiaq Ahmad khan sahab thay, un ka jo teaching methodology hai wo quite effective hai as compare to others like mainay baki institute mai bhi pehlay visit kiya tha as comapre to others sir ki jo teaching methodology hai wo kafi effective hai jo kay students ka learning mai bohot ziada help karti hai, like agr teacher jo hai student ko ek perfect way mai deliver kar rahay hain tw tab wo students jldi learn kartay hain. I think he did his job excellent and i really thanks to this institute and all of the staff specially sir Ishtiaq Ahmad khan. Yahan es institute mai mainay bohot kuch learn kiya hai. or mai specially sab ko thanks kehna chahti hun. Thanku so much.